KANYA BHOJ
O manushya
kanya khilane ki taiyaari kar raha hai?
pichli navtari se is navratri tak
kitni deviyon ko pooja hai tune?
kokh mein beti ko maarna nahi
yeh kehte ghoomta tha naa tu?
kokh se bahar aane k baad
kitni betiyon ki raksha ki hai tune?
betiyon ko padhne do khelne do
jeene do yeh kehte ghoomta tha naa tu?
kitni betiyon ko chulhe chauke
aur parivaar k bich apni icchayein
hom karne se roka hai tune ?
betiyan rehne se jeevan sundar rehta hai
yeh kehte ghoomta tha naa tu?
tab dusre ki beti ka jeevan
sundar kyu nahi bana paaya tu?
betiyaan bojh nahi hoti yeh bhi
toh kehte thakta nahi tha tu?
apni byaahta ko bojh kehne aur use
yeh sunane se kyu nahi thakta tu?
beti parivaar ki aan hoti hai
yeh kehta aur maanta bhi toh tha tu!
fir dusre parivaar ki aan ki aankh mein
aansoon aane se kyu nahi rok paaya tu?
Apni beti Apni maa Apni behen aur
Dusre ki beti sab ek hi toh hai manushya
lekin aurat aurat mein aur
rishte rishte mein fark karne
se khudko kaha rok paaya tu ?
Mera parivaar mere parivaar ki beti
Dusre ka parivaar Dusre parivaar ki beti
bas isi uljhan mein reh gaya tu
Har roop Devi ka hai
yeh kaha jaan paaya tu
Samajsewa ki shuraat ghar se kar manushya
ghar ki mahilaaon ko sukhi kar manushya
tu dekhna saare devta khud hi tar jaayenge
Bhavsagar paar ho jayega
lekin shayad tujhse yeh na ho paayega
tu toh sirf Navratri pe Kanya bhoj karayega!!